Ziyarat-e-Ashura ka Paigham
Ziyarat-e-Ashura mein ek azeem paigham diya gaya hai: “Ya Aba Abdillah, inni silmun liman salamakum wa harbun liman harabakum ila yawm al-qiyamah.” Yani Hussain (a.s.) ke doston ke saath aman aur unke dushmanon ke saath jang — yeh jang Qiyamat tak jari hai. Imam Husain (a.s.) ne Karbala ke safar mein wazeh kar diya tha ke unka hadaf zulm aur jabr ke khilaf khada hona hai. Yazidi hukmaran Allah ke ahd ko tod rahe the, uski hudood ko tod rahe the, aur insaanon ke sath dushmanon ki tarah sulook kar rahe the. Hussaini jabhha aaj bhi zulm aur taqut ke khilaf resistance ka nishan hai.

Your Comment