Muharram aur Hussainiyat ki Khaas Sifat
Muharram hamesha insaaniyat ko Imam Hussain (a.s.) ke azeem qiyaam ki yaad dilata hai. Imam Hussain ka qiyaam apni khaas sifat ki wajah se be-nazir hai. Tareekh mein aur bhi qiyaam huye, lekin Karbala ka waqiya apni shuja’at, imaan aur haqq ke liye qurbani ki wajah se la-misaal hai. Us waqt baatil ki hukumat qasawat aur zulm ke aakhri had tak barh chuki thi. Itna khauf tha ke log Amr bil Ma’ruf aur Nahy anil Munkar bhi khule aam nahi kar paate the. Aise mahaul mein Imam Hussain (a.s.) ne haqq ki awaaz buland kar ke insaaniyat ko dikhaya ke haq par qaim rehna hi asal jeet hai.

Your Comment