Amīr-ul-Momineen (a.s.) aur Ahlulbayt ka Dard
“Jab dushman ne Amīr-ul-Momineen (a.s.) par war kiya to riwayat mein aata hai ke Maula Ali (a.s.) ne koi aah-o-naala nahi kiya.
Lekin jab Imam Hasan (a.s.) aaye aur unki aankh se aansoo Maula ke chehre par gira, to Maula ne apni aankhen kholi aur farmaya:
‘Hasan mere bete, ro mat, sabr karo, yeh waqiat guzar jaayenge.’
Phir unhe ghar le jaya gaya.
Ghar ke andar jab betiyan Zainab (s.a.) aur Umm-e-Kulsoom (s.a.) aayi aur aansoo bahaane lagi, to Maula unka gham bardasht na kar sake.
Riwayat kehti hai ke us waqt Ameer-ul-Momineen (a.s.) khud bhi zor zor se rona shuru kar diye.
Aur kaha jata hai: Agar Amīr-ul-Momineen (a.s.) ne Ashura ka manzar dekha hota, jab Zainab (s.a.) aansoo baha rahi thi aur noha kar rahi thi, to unse bardasht na hota.”

Your Comment